True Islam– Shia, Shiyat (SHEEYAT) |
122. Aur jab tum ney kaha Aey Moosa! hum say aik hi qisam k khaaney (Man o Salwa) par sabr na hoga is liay apeny Rab say dua karo k Wo hamen zameen ki ugaaee saag kakri geehoon masoor aur pyaaz day. Farmaya k behtar cheez k badlay adnaa kyun talab kartay ho, achaa shehar mein jao wahan tumhari chahat ki ye cheezen milain gi. Un par zillat aur miskeeni daal di gaee aur Allah ka ghazab lay kar wo lotay. ye is liay k wo Allah ki aayaton k sath kufr kartay thay aur nabiyon ko naa haq qatal kartay thay ye un ki naa farmaniyon aur ziyadtiyon ka nateeja hai. (Sura Baqra Ayat 61) 123. Aur Moosa nay jab apni qoam say kaha k Allah tumhen aik gaaey zibaah karney ka hukm daita hai to unhon nay kaha hum say mazaak kyun kartay ho? Kaha k: mein aisi jihaalat say Allah ki panah maangta hun. Unhon nay kaha: Moosa dua karo k Allah hamen bata day k wo gaaey kaisi ho. Farmaya: wo gaaey na to bilkul burhiya ho na bacha bulkay darmiyani umar ki ho ab jo tumhen hukm dya gaya hai bajaa laao. Wo phir kehnay lagay k Allah se poocho us ka rang kya ho? Kaha k hukm e Khuda hai k wo zard bharak daar rang ki ho aur dekhney waalon ko bhali lagey. Wo kehney lagay aisi to buhat si gaaey hen apney Rab say kaho k kuch aur bhi bataey agar Allah ney chaha to hum hidayat walay hojaaen gay. farmaya k: Allah ka farmaan hai k wo gaaey kaam karney waali, zameen mein hal joatney waali aur kheton ko paani pilaaney waali na ho, wo tandrust aur be daagh ho. unhon ney kaha k ab theek baat laaey ho aur usey zibaah kya (jab k) wo zibaah kartey maaloom na hotay thay. (Sura Baqra Ayaat 67-71) 124. Jab tum ney aik shaks ko qatal kar daala phir aik doosrey pey us ka ilzaam daalney lagey aur Allah ko zaahir karna tha jo tum chupaatey thay. Hum nay kaha is gaaey ka (jo tum ne Allah ki raah men qurbaan ki hai) aik tukra maqtool k jism ko laga do. Allah yun hi murdon ko zinda kar k tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai. (Sura Baqra Ayaat 72, 73) 125. Phir is k baad tumharay dil pathar jaisay bulkay is bhi zyaada sakht hogaey. Baaz patharon say to nehren beh nikalti hen aur baaz phat jatay hain to un se paani nikalta hai aur baaz Khuda k darr say gir gir partay hain aur tum Khuda ko apney aamaal say ghaafil naa jaano.(Sura Baqra Ayaat 74) 126. Aur jab Hum ney bani israeel say waada lya k tum Allah k siwa doosray ki ibaadat na karna aur maan baap k saath acha salook karna, issi tarah qaraabat daaron yateemon aur miskeenon k saath aur logon ko achi baatain kehna namaazen qaaeem rakhna aur zakat daitay rehna lekin thoray say logon k ilaawa tum sab phir gaey aur mun moar lya.(Sura Baqra Ayaat 83) 127. Aur jab Hum ney tum say waada lya k aapas men khoon na bahaana aur apnon ko apni bastiyon se na nikaalna tum ney iqrar kya aur tum is k gawaah ho. Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kya aur aapas k aik garoh ko jila watan bhi kya aur gunah aur zyaadti k kaamon mein in k khilaaf doosray ki taraf daari ki. Agar wo qaidi ho kar tumharay pass aaen to tum un k badlay de kar chura laitay ho lekin in ka nikaalna to tum per haraam tha. kya baaz ahkaam par imaan rakhtay ho aur baaz k saath kufr kartay ho? Tum mein say jo bhi aisa karay us ki saza is k siwa kya ho k dunya mein ruswaee aur qayamat k din sakht azaab ki maar aur Khuda tumharay aamaal say be khabar nahi(Sura Baqra Ayaat 84, 85) 128. (Aey Rasul) Agar wo aap ko dhoka daina chahen to beshak Allah aap ko kaafi hai Wohi hai jis ne aap ko zoar dya apni aur momineen ki madad ka (Sura Anfaal Ayat 62) 129. Tafseer Ahlesunnat Tafsir Dur-e Mansoor Jild 3 is ayat ki tafseer men Jalal-U-Deen Sayooti likhtey hen” Arsh par likha hua hai Meray siwa koi maabood nahi, Mein yakta hun Maira koi shareek nahi Muhammad Meray banday aur Rasul hen Men ne Ali k saath in ki taaeed (madad) ki hai”. Is k baad unhon ne 10 fuqaahaey Ahlesunnat k naam likhey hen jinhon ne is baat ki tasdeeq ki hai. 130. Aur jaldi kro apny Rab ki Maghfirat aur Jannat ki taraf, jiski chaurai Aasmaan aur Zameen (k brabar) hai aur Perhaizgaaron k liye tayyar ki gai hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 133) 131. Jis din Hum har garoh e insaani ko us k Imaam k saath bulaaen gay. Phir jin ka bhi aamaal naama daaen haath mein dya jaaey ga wo isey parhen gay aur in par raisha (zar’ra) barabar bhi zulm nahi hoga. (Sura Bani Israil Ayat 71) 132. Ay Imaan waalo! Allah se (aisay) daro jaisa k Us se darnay ka haq hai aur har giz na marna magar musalmaan (Sura Ale Imraan: Ayat 102) 133. Pus jahaan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein khairaat kertay raho jo tumharay liye behtar hai aur jo shaks apney nafs k laalach say mehfooz rahay wohi falaah paaney waala hai. (Sura Taghaboon Ayat 16) 134. Lekin phir bhi tum ne aapas mein qatal kya aur aapas k aik garoh ko jila watan bhi kya aur gunah aur ziyadti k kaamon men in k khilaaf doosray ki taraf daari ki, haan wo jab qaidi ho kar tumharay pass aaey to tum ney un ka badla de kar chura liya lekin in ka nikaalna to tum par haraam tha (us ka kuch khayaal na kya) kya baaz ahkaam par imaan rkhtay ho aur baaz k saath kufr krtay ho? Tum men say jo bhi aisa karay us ki saza is k siwa kya ho k dunya men ruswaee aur qayamat k din sakht azaab ki maar aur Allah tumharay aamaal say bay khabar nahi.(Sura Baqra Ayat 85) 135. Jo loge khushi aur gham men Allah ki raah mein kharach kartay hain, ghussa peenay walay aur logon say dar guzar kerney waalay, beshak Allah naik logon se muhabbat karta hai. (Sura Ale Imraan: Ayat 134) 136. (Aey Rasul) Keh do k yeh to batao k Allah ney tumharay liye jo rizq bheja is men tum ne apni taraf se halaal o haraam thairaa lya. In se poocho k tum ko Allah ney hukm dya tha ya Allah per jhoot baandhtay ho?Aur kya gumaan hai un ka jo Allah per jhoot baandhtay hain k un ka qayamat men kya haal hoga. Beshak logon per Allah ka bara hi fazal hai lekin aksar loge shukar nahi kertay. (Sura Yunas Ayaat 59,60) 137. kya tum Us (Allah) se be-khouf ho gaey ho? Jo aasmaan me hai k tumhen zameen me dhansa de or achanak ye zameen larazney lagey (Sura Mulk Ayat 16) 138. aur beshak Hum ne naseehat k baad Zaboor main likh dia hai k hamari zameen k Waaris hamarey naik bande hon gey (Sura Anbiya Ayat 105) 139. aur jab tmhen salaam kia jae to tm uska behtar jawab do ya unhi alfaz ko louta do,beshak Allah har cheez ka hisab lene wala hay (Sura Nisa Ayat 86) 140. Tum man se aik garoh (jamat) aisa hona chahye jo Naiki ki tarf bulaaen aura chi baat ka hukm den aur buri se roken aur yehi loge muraad ko puhanchay (Sura Aal e Imran Ayat 104) 141. Aur jo loge kafir hen un k liye dozakh ki aag hai na to un ki qaza hi aaey gi k mar hi jayen aur na dozakh ka azaab hi un say halka kiya jayega. Hum har kafir ko aisi hi saza detay hen. Aur wo loge is men chilayen gay aey humaray Parwardigar! Hum ko nikal ley hum achay kaam karen gay bar-khilaaf un kaamon k jo kiya kertay thay (Allah kahey ga) kya Hum ney tum ko itni umar na di thi k jis ko samjhna hota wo samajh sakta aur tumharay pass daraaney waala bhi phoncha tha so maza chakho k (aisay) zalimon ka koi madadgaar nahi (Sura Fatir Ayaat 36, 37) 142. beshak Allah nazron ki khyanat ko bhi jaanta hai aur un baton ko bhi jo seenon man chupa rakhi hen (Sura Momin Ayat 19) 143. Beshak! jinhon ne kaha hamara Rab Allah hy phr is baat pe sabit qdm rhy unpe na to (Jhanam ka) koi Dar hy aur na wo (baroz e qiayamat) Ghamgeen hongey, wo log Jannat waaley hain, jahan wo hamesha rahen ge, ye Janat badla hy un k Naik kaamon ka jo wo kia krty thay.(Sura Ah'Qaaf Ayaat 13,14) 144. Jo Allah aur Aakharat pe yaqeen rakhta hai us ke liye Rasool Allah ki zaat behtareen namona hai (Sura Ahzaab Ayat 21) 145. Aur martay dam tak apnay RAB ki Ibadat karo (Sura Hijar Ayat 99) 146. Bastiyon walon ka jo maal e ghaneemat Allah ne dilwaya woh Allah ka hai aur Rasool ka aur qarAabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay ghaniyon k haath men hi ye maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch Rasool dey ley lo aur jis say rokay ruk jao aur Allah say dartay raha karo, yaqeenan Allah sakht azab denay wala hai. (Sura Hashar Ayat 7) 147. Paighamber apni khuwahish se nhi boltay, wo jo boltay hen wo to Allah ki nazil krda Wahi hy (Sura Najam Ayat 3,4) 148. (Aey Rasool) Keh do! k agar tum Allah say mohabbat rakhtay ho to meri itebaa karo Allah tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah bara bakshney wala meharban hai. (Sura Aal e Imran Ayat 31) 149. Aur Allah tum par apni Rehmat se rujoo karna chahta hai, Jo loge khauwahishat e nafs k pairo hain wo chaahtay hain k tum (Imaan waaly) raah e raast se buhat door hat jao (Sura Nisa Ayat 27) 150. Aur yaad rakhna (Aey Nabi ki bivio) Allah ki ayaton aur Hikmat ko jo tumhary ghar man Tilawat ki jati hain. Beshak Allah har baareeki jaanta khabardaar hai (Sura Ahzaab Ayat 34) 151. Aur jo log Hamari rah man (Jihaad) koshish karty hain to Ham zaroor unko apny raston ki taraf hidayat karty hain Aur Allah Pak Naik o kaaron k saath hai (Sura Ankaboot Ayat 69) 152. Aey ahl-e-kitab! Tumharay paas hamara Rasool aa chuka hai jo tumahray samney kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta hai, tumharay paas Khuda ki taraf say noor aur wazeh kitab aa chuki hai.(Sura Maeda Ayat 15) 153. Allah Taalaa unhen hidayat daita hai jo Allah ki marzi par chala salamti ki raah par aur apney hukm say andheron say nikal ker noor ki taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf un ki rehbari kerta hai (Sura Maeda Ayat 15) 154. Ye Rasool hen jin men Hum ne baaz ko baaz pr fazilat di, in men say baaz wo hen jin say Khuda ne kalaam kya aur koi wo hai jisey darjon buland kya.Hum ne Issa bin Marium ko moajzaat ataa farmaye aur paak rooh say us ki taeed ki. Agr Khuda chahta to us k baad aaney walay daleel aaney k baad hargiz aapas men na lartay lekin un logon ne ikhtilaf kya, baaz to momin huye aur baaz kafir aur agr Khuda chahta to ye aapas men na lartay lekin Khuda jo chahta hai kerta hai. (Sura Baqra Ayat 253) 155. Aey iman walo jo Hum ne tumhen dey rakha hai us men say Allah ki raah men kharach karo is say pehlay k wo din aaey jis men na tijarat hai na kafiron k liay dosti aur shifaat aur kafir khud hi zalim hen. (Sura Baqra Ayat 254) 156. Allah k siwa koi Maabood nahi JO zinda hai sab ka thamney wala, JISAY na oongh aaye na neend US ka hai jo kuch aasmaan aur zameen men hai. Kaun hai jo US ki ijazat k bghair US k saamney sifarish kr skay, WO jaanta hai jo in k saamney hai aur jo in k peechay aur wo IS k ilm men say kisi cheez ka ahaata nhi kr sktay mgar jitna wo chahay US ki kursi men samaaey huay hen zamin-o-aasman aur WO in ki hifazat say na thakta na uktaata hai WO to boht Buland aur boht Bara hai. (Sura Baqra Ayat 255) 157. Deen men koi zabardasti nhi, hidayat gumrahi say juda ho chuki hai is liye jo shaks Khuda k siwa doosray maboodon ka inkaar kr k Khuda pr imaan laaey us ne mzboot karay ko thaam liya jo kabhi na tootay ga aur Khuda sunney waala janney waala hai. (Sura Baqra Ayat 256) 158. Imaan laaney waalon ka Waali Allah hai wo unhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron k auliya shayateen hen. Wo inhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hen ye loge jahannumi hain jo hamesha isi men paray rahen gay (Sura Baqra Ayat 256) 159. Ye hikmat ki kitab (Quran) ki ayaten hen naik logon k liye Hidayat or Rehmat jo namaz ki pabandi Krtey or Zakat Daitey or Akhirat ka yaqin rakhtey hen yehi Apne RAB (ki taraf) Se Hidayat pr hain Or Yehi nijat paaney waaley hen (Sura Luqman Ayaat 2-5) 160. Aey Imaan waalo Allah ka zikar kasrat se kero.Aur subha-o-shaam US ki pakeezgi bayaan karo.Wohi hai jo tum per darood bhejta hai aur uss kay farishtay takay woh tumhen andheron say ujalay ki taraf ley jaye aur Allah momino per boht hi meharbaan hai. (Sura Ahzaab Ayaat 41-43) 161. us shaks ki tarah jis ka guzar us basti say hua jo chatt k bal ondhi pari thi.wo kehney laga maut k baad Khuda isay kis tarah zinda kray ga. To Khuda ne usay maar dya 100 saal k liye phr usay uthaya,poocha kitni muddat tujh pe guzri,kehney laga 1 din ya din ka kuch hisa,farmaya tu 100 saal tk soya raha,ab tu apney khaney peenay ko dekh bilkul kharab nhi hua aur apney gadhay ko bhi dekh.Hum tjhay logon k liye 1 nishani bnatay hen,tu dekh k Hum hadiyon ko kis tarah uthatay hen phr un pr gosht charhatay hen, jab ye sb zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun k Khuda her cheez pr Qadir hai.(Sura Baqra Ayat 259) 162. Aur jb Ibrahim ne kaha aey meray Parwardigar! Mujhay dikha Tu murdon ko kis tarah zinda kray ga, farmaya kya tumhen imaan nahi,Jawab dya imaan to hai lekin meray dil ko taskeen ho jayegi, farmaya 4 parinday lo,un k tukray kr dalo,phr har pahaar pr in ka aik aik tukra rkh do,phr inhen pukaro tumharay paas dortay huye aa jayen gay aur jaan rkho k Khuda Ghalib,hikmaton wala hai. (Sura Baqra Ayat 260) 163. Jo loge apna maal Khuda ki raah men kharch krtay hen us ki misal us daaney jaisi hai jis men 7 baaliyan niklain aur hr baali men 100 daaney hon aur Khuda jisay chaahay aur barha kr dey aur Khuda kushaadgi waala aur ilm waala hai (Sura Baqra Ayat 261) 164. Jo loge apna maal Khuda ki raah men kharch krtay hen phr us k baad na to ahsaan jatatay hen aur na ezza detay hen un ka ajr un k Rab k paas hai un pr na to kuch khof hai na wo udaas hon gay(Sura Baqra Ayat 262) 165. Narm baat kehna aur maaf kr daina us sadqay say behtar hai jis k baad ezza rasani ho aur Khuda Be niaaz aur Burdbaar hai (Sura Baqra Ayat 263) 166. Aey imaan walo apni khairaat ko ahsaan jata kr aur ezza pohncha kr barbaad na kro.Jis tarah wo shaks apna maal logon k dikhaway k liye kharch kray aur na Khuda pr imaan rkhay na qayamat pr us ki misaal us saaf pathar ki tarah hai jis pr thori si mitti ho phr us pr zor daar baarish brsay aur wo isay bilkul saaf aur sakht chor dey. in riya kaaron ko apni kamaee men say kuch cheez haath nhi lagti aur Khuda kaafiron ki qoam ko (seedhi) raah nhi dikhata (Sura Baqra Ayat 264) 167. Un logon ki misal jo apna maal Khuda ki raza ki talab men dil ki khushi aur yaqeen k saath kharch krtay hen us baagh jaisi hai jo oonchi zamin pr ho aur zor daar barish us per barsay aur wo apna phal dugna kar lay aur agr us per barish na bhi barsay to phuwaar hi kafi hai aur Allah tumharay kaam dekh raha hai (Sura Baqra Ayat 265) 168. Aey imaan waalo! Apni pakeeza kamaee men say aur zamin men say tumharay liye Hamari nikali hui cheezon men say kharch karo.in men say buri cheezon k kharch krney ka irada na krna jisay tum chashm poshi k baghair khud lenay 169. Aur agar hum is Quran ko (arbi k ilawa) kisi aur zaban men nazil kartey to ye loge kehtey k is ki ayaten (hamari zaban men) kyun khol kar bayan nahi ki gaeen. Kya (khoob k Quran to) Ajmi aur (Mukhatib) arbi. Keh do k jo imaan laatey hen in k liay (ye) hidayat aur shifa hai aur jo imaaan nahi laatey in k kaanon men behrapan hai aur aankhon men naabeenai hai. Behray pan k sabab in ko door jaga se awaaz di jaati hai (Sura Haa Meem, Ayat No 44) 170. Aur kisi admi k liay mumkin nahi k Khuda is se baat karey magar ilhaam (k zariay) se ya pardey k peechay se ya koi paighamber bhej dey to wo Khuda k hukm se jo Khuda chahey, zahir kardey. Beshak wo aali rutba (aur) hikmat wala hai. (Sura Shura, Ayat No 51) 171. Haan jis ne mujhey paida kya wohi mujhey seedha raasta dikhaey ga (Sura Zakhruf, Ayat No 27) 172. Aur jo imaan laey aur naik amal kartey rahey aur jo (kitab) Muhammad (S.A.W) par naazil hui isey maantey rahey jo un k Parwardigaar ki taraf se Bar Haq hai, un se un k gunah door kardiay aur in ki haalat sanwaar di. (Sura Muhammad, Ayat No 2) 173. Bhala jo shaks apney Parwardigaar (ki meharbani) se khuley rastey par (chal raha) ho wo un ki tarah (ho sakta) hai jin k aamaal bad unhen achey kar k dikhey jaaen aur jo apney khuwahishon ki parvi Karen (Sura Muhammad, Ayat No 14) 174. (aey Munafiqo) tum se ajab nahi k agar tum hakim ho jao to mulk men kharabi karney lago aur apney rishton ko toar daalo (Sura Muhammad, Ayat No 22) 175. Bhala ye loge Quran men ghor nahi kartey ya (in k) dilon par taaley lag rahey hen (Sura Muhammad, Ayat No 24) 176. Jin logon ko seedha rasta maalum ho gaya (aur) phir bhi unhon ne kufr kya aur (logon ko) Khuda ki raah se roka aur Paighamber ki mukhalifat ki wo Khuda ka kuch bhi bigaar nahi saken ge. Aur Khuda in ka sab kya karaya akaarat kar daiga (Sura Muhammad, Ayat No 32) 177. Momino Khuda ka kaha mano aur Paighamber ki farmanbardari karo aur apney aamaal ko zaaya na honey do (Sura Muhammad, Ayat 33) 178. Aur hum ne (aey Muhammad) tum ko haq zaahir karney wala aur khushkhabri sunaney wala aur khof dilaney wala (bana kar) bheja hai taakey tum loge Khuda par aur Us k Paighamber par imaan laao aur us ki madad karo aur us ko buzurg samjho aur subah sham us ki tasbeeh kartey raho (Sura Fatah, Ayat No 8,9) 179. Na to andhey par gunah hai (Jihad k safar se peechay reh janey ka) aur na langrey par gunah hai aur na beemaar par gunah hai. Aur jo shaks Khuda aur us k Paighamber k farmaan par chaley ga Khuda us ko jannaton men daakhil karega jin k neechay nahren bah rahi hen aur jo nafarmani karega usey burey dukh ki saza daiga (Sura Fatah, Ayat No 17) 180. Jab kafiron ne apney dilon men zid ki aur zid bhi jahalat ki to Khuda ne apney Paighamber aur mominon par apni taraf se taskeen naazil farmai aur in ko parhaizgaari ki baat par qaim rakha aur wo is k mustahiq aur ahal thay aur Khuda har cheez se Ba Khabar hai (Sura Fatah, Ayat No 26) 181. Wohi to hai jis ne apney Paighamber ko hidayat (ki kitab) aur deen-e-haq dey kar bheja taakey is ko tamam deenon par ghalib karey aur haq zaahir karney k liay Khuda hi kaafi hai (Sura Fatah, Ayat No 2 182. Muhammad Khuda k Paighamber hen aur jo loge in k saath hen wo kaafiron k haq men sakht hen aur aapas men reham dil. Tu un ko daikhta hai k (Khuda k aagey) jhukey huay sar basajud hen aur Khuda ka fazal aur us ki khushnoodi talab kar rahey hen. Sajdon (ki kasrat se) in ki peshaanion par nishan parey huay hen. In k yehi ausaaf “Taurat” men hen aur yehi ausaaf “Injeel” men hen. Un ki sift us kheti ki tarah bayan ki gae hai jis ki (pehley zameen se) konpalen nikleen is k baad wo kheti khub phalli phooli aur mazboot hui aur phir apney taney par seedhi khari ho gae. Ab wo kisanon ko khush kar rahi hai taakey kaafiron ka gi jalaey. Jo loge in men se imaan laey aur naik amal kartey rahey in se Khuda ne gunahon ki bakshish aur ajr-e-azeem ka waada kya (Sura Fatah, Ayat No 29) 183. Momino (kisi baat k jawab men) Khuda aur us k Rasul se pehley na bol utha karo aur Khuda se dartey raho beshak Khuda sunta aur jaanta hai (Sura Hujraat, Ayat No 1) 184. Aey ahle imaan apni awazen Paighamber ki awaaz se oonchi na karo aur jis tarah aapas men zor se boltey ho (is tarah) un k samney na bola karo (aisa na ho) k tumharey aamaal zaaey hojaen aur tum ko khabar bhi na ho (Sura Hujraat, Ayat No 2) 185. Jo loge Paighamber k saamney dabi awaaz se boltey hen Khuda ne in k dil taqwa k liay aazma liay hen. In k liay bakshish aur ajr-e-azeem hai (Sura Hujraat, Ayat No 3) 186. Aur jaan rakho k tum men Khuda k Paighamber hen. Agar buhat si baaton men wo tumhara kaha maan lya Karen to tum mushkil men par jao leken Khuda ne tum ko imaan azeez bana dia aur is ko tumharey dilon men saja dia aur kufar aur gunah aur nafarmani se tum ko bezaar kar dia. Yehi loge raah-e-hidayat par hen (Sura Hujraat, Ayat No 7) 187. Sehra men rehney waley arab kehtey hen k hum imaan ley aaey. Keh do k tum imaan nahi laaey (balkey yun) kaho k hum islam laaey hen aur imaan to abhi tumharey dilon men daakhil hi nahi hua. Aur tum Khuda aur us k Rasul ki farman bardari karo gey to Khuda tumharey aamaal se kuch kam nahi karega. Beshak Khuda bakshney wala mehrbaan hai (Sura Hujraat, Ayat No 14) 188. Momin to wo hen jo Khuda aur us k Rasul par imaan laey phir shak men na parey aur Khuda ki raah men maal aur jaan se larey. Yehi loge (imaan k) sachey hen (Sura Hujraat, Ayat No 15) 189. Momin mard ya aurat k liay ye jaiz nahi hai k jab aik mamla Allah aur us k Rasul ne tay kar dia hai to us k baarey men apni raaey rakhen. Jo koi Allah aur us k Rasul ki nafarmani karey ga wo yaqeenan ghalat rastey par hai. (Sura Ahzaab, Ayat No 31) 190. Muhammad (S.A.W) tumharey mardon men se kisi k baap nahi magar Allah k paighamber hen aur anbia ka ikhtetaam hen aur Khuda har cheez ka ilm rakhta hai(Sura Ahzaab, Ayat No 40) 191. Jo Khuda aur is k Paighamber ko dukh daitey hen in par Khuda dunya aur aakhirat men lanat karta hai aur in k liay is ne zaleel karney wala azaab tayyar kar rakha hai(Sura Ahzaab, Ayat No 57) 192. Jis din in k mun aag men ultaey jaaengey to wo kahen gey aey kaash hum Khuda ki farmanbardari kartey aur Rasul ka hukm maantey(Sura Ahzaab, Ayat No 66) 193. Momino Khuda se dara karo aur baat seedhi kaha karo. Wo tumharey aamaal durust kar daiga aur tumharey gunah baksh daiga. Aur jo shaks Khuda aur us k Rasul ki farman bardari karta hai, pehley se hi azeem tareen ka hasool kar chuka hai. (Sura Ahzaab, Ayat No 70, 71) 194. Aur (aey Muhammad) Hum ne tum ko tamam logon k liay khuskhabri sunaney wala aur daraney wala bana kar bheja hai liken aksar loge nahi jantey. (Sura Saba, Ayat No 2 195. (Aey Muhammad) Agar ye tumhen jhutlaen to jo loge in se pehley they wo bhi jhutla chukey hen in k paas in k paighamber waazey nishanian aur saheefay aur roshan kitaben le le kar aatey rahey . (Sura Fatir, Ayat No 25) 196. (Kisi Nabi ko aam bashar kehna har qoam k munafiqon ki nishani rahi hai. Hazrat Younas,Yohanna aur Shamoon AS ko un ki qoam ne kaha) 197. "Wo boley k tum (aur kuch) nahi magar hamari tarah k aadmi (ho) aur Khuda ne koi cheez naazil nahi ki, tum mehaz jhoot boltey ho (Sura Yaseen, Ayat No 15)" 198. Bandon par afsos hai k in k paas koi Pighamber nahi aata magar is ka mazaq uratey hen (har Pighamber ka mazaq uratey hen) (Sura Yaseen, Ayat No 30) 199. In ka ye haal tha k jab in se kaha jata tha k Khuda k siwa koi Mabood nahi to gharoor kartey they aur kehtey they k bhala hum aik deewaney shayir k kehney se apney maboodon ko chorney waley hen. (nahi) balkey wo huq le kar aaey hen aur (pehley aaney waley) Paighambaron ko sacha kehtey hen. Beshaq tum takleef dainey waley azaab ka maza chakney waley ho (Sura Safaat, Ayat No 35,36,37,3 200. Aur Paighambaron ko salaam aur sab tarah ki taareef Rab ul Aalameen k liay hai (Sura Safaat, Ayat No 181,182) 201. Aur kafiron ko garoh k garoh bana kar jahanum ki taraf le jaengey. Yahan tak k wo jab un paas puhanch jaengey to us k darwazey khol diay jaengey to us k darogha in se kahen gey k kya tumharey paas tum men Paighamber nahi aaey they jo tum ko tumharey Parwardigaar ki ayaten parh parh kar sunatey aur is din k paish aaney se daratey they. kahen ge kyon nahi leken kafiron k liay azab ka hukm bar huq ho chukka tha (Sura Zumar, Ayat No 71) 202. Ye is liay k in k paas Paighamber khuli daleelen laatey they to ye kufr kartey they so Khuda ne un ko pakar lia. Beshaq wo Sahib-e-Quwwat (aur) sakht azaab dainey wala hai (Sura Momin, Ayat No 22) 203. Jin logon ne naseehat ko na mana jab wo un k paas aae. Aur ye (Quran) to aik buland rutba kitab hai. Is par jhoot ka dakhal na aagey se ho sakta hai na peechey se. Daana (aur) Khoobiyon waley (Khuda) ki utari hui hai (Sura Haa Meem, Ayat No 41,42) 204. Aur is tarah hum ne tum ko aetadaal wali Ummat banaya taakey tum logon par gawah bano aur paighamber tum par gawah banen. Aur jis qibley par tum they is ko hum ne is liay muqarar kya tha k maalum karen kon paighamber ka taabey rehta hai aur kon ultey paon phir jata hai. (Sura Baqra, Ayat No 143) 205. Jis tarah hum ne tum men tumhi men se Aik Rasul bheja hai jo tum ko hamari ayaten parh parh kar sunata hai aur tumhen paak banata aur kitab aur danai sikhata hai aur aisi baten batata hai jo tum pehley nahi jantey they. (Sura Baqra, Ayat No 151) 206. (aey Rasul) Keh do k Khuda aur us k Rasul ka hukm mano. Agr na manen to Khuda bhi kaafiron ko dost nahi rakhta. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 32) 207. Aey Khuda jo (kitab) tu ne naazil farmai hum is par imaan le aaey aur (terey) paighamber k farmaanbardar ho chukey to hum ko maanney walon men shumar kar. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 53) 208. Aur jab Khuda ne paighambaron se ahad lya k jab men tum ko kitab aur danai ata karun phir tumharey paas koi paighambar aaey jo tumhari kitab ki tasdeeq karey to tumhen zaroor is par imaan lana hoga aur zaroor is ki madad karna hogi , aur poocha k bhala tum ne iqrar kya aur is iqrar par mujhey zamin tehraya , unhon ne kaha hum ne iqrar kya, (Khuda ne) farmaya k tum gawah raho aur men bhi tumharey sath gawah hun. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 81) 209. Khuda aisay logon ko kyon kar hidayat de jo imaan laaney k baad kafir ho gaey aur (jo) is baat ki gawahi de chukey they k ye paighamber bur huq hai aur in k paas dalaail bhi aa gaey they aur Khuda be-insafon ko hidayat nahi daita. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 86) 210. Aur tum kyon kar kufr karo gey jab k tum ko Khuda ki ayatein parh parh kar sunai jati hen aur tum men IS ka paighamber mojud hai aur jis ne Khuda(ki hidayat) ko mazbut pakar lya wo seedhey rastey lag gya. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 101) 211. Aur Khuda aur us k Rasul ki ataa’t karo taakey tum par rehmat ki jaey. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 132) 212. (wo waqt bhi yad karo) Jab tum loge door bhagey jaatey they aur kisi ko peechey phir kar nahi daikhtey they Aur Rasul Allah tum ko tumharey peechey kharey bula rahey they, to Khuda ne tum ko gham par gham puhanchaya taakey jo cheez tumharey hath se jati rahi ya jo museebat tum par waaqe hui hai is se tum andoh naak na ho aur Khuda tumharey sab aamaal se khabardar hai (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 153) 213. Khuda ne mominon par bara ahsan kya hai k un men aik paighamber bheja jo in ko Khuda ki ayaten parh parh kar sunata aur in ko paak karta aur kitab aur danai sikhata hai aur pehley to ye loge sareeh gumrahi men they. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 164) 214. Jinhon ne ba wajood zakhm khaney k Khuda aur Rasul (k hukm) ko Qabool kya, jin logon ne sahi kaam kya aur ghalat se rukey rahey in k liay bara inaam hai. (Sura Aal-e-Imran, Ayat No 172) 215. Aur jo Khuda aur us k Rasul ki nafarmani karey ga aur us ki hadon se nikal jaega, is ko Khuda dozakh men daley ga jahan wo hamesha rahey ga aur is ko zillat ka azab hoga. (Sura Nisa, Ayat No 14) 216. Is roze kafir aur paighamber k nafarman aarzu karen gey k kaash in ko zameen men dafun kar k matti barabar kar di jati aur Khuda se koi baat chupa nahi saken gey. (Sura Nisa, Ayat No 42) 217. Momino Khuda aur us k Rasul ki farmanbardari karo aur jo tum men se Oolil Amr hen in ki bhi aur agar kisi baat men tum men ikhtilaf waaqey ho to agar Khuda aur roz-e-akhirat par iman rakhtey ho to is men Khuda aur us k Rasul ki taraf rujoo karo, ye buhat achi baat hai aur aakhirat k liay bhi mozoon hai. (Sura Nisa, Ayat No 59) 218. Aur jab kaha jata hai k jo hukm Khuda ne naazil farmaya hai is ki taraf (rujoo karo) aur paighamber ki taraf aao to tum munafiqon ko daikhtey ho k tum se aitaraz kartey hen aur rukey jatey hen. (Sura Nisa, Ayat No 61) 219. Aur hum ne jo paighamber bheja hai is liay bheja hai k Khuda k farman k mutabiq is ka hukm mana jaey aur ye loge jab apney huq men zulm kar baithey they agar tumharey paas aatey aur Khuda se bakshish maangtey aur Rasul bhi in k liay bakshish talab kartey to Khuda ko maaf karney waal mehrban paatey. (Sura Nisa, Ayat No 64) 220. Aur jo loge Khuda ki aur us k Rasul ki ataa’t kartey hen wo (roz-e-qayamat) in logon k sath hongey jin par Khuda ne bara fazal kya yaani anbia aur mukhlis loge aur shahdat dainey waley aur naik loge aur in logon ki rafaqat buhat hi khub hai. (Sura Nisa, Ayat No 69) 221. Jo shaks Rasul ki farman bardari karey ga to be shak is ne Khuda ki farman bardari ki aur jo na farmani karey ga to aey paighamber tumhen hum ne in ka nigheban(muhafiz) bana kar nahi bheja. (Sura Nisa, Ayat No 80) 222. Aur jab in k paas aman ya khof ki koi khabar puhanchti hai to is ko mashur kar daitey hen aur agr is ko Pighamber ya un men jo Oolil Amr hen k paas puhanchatey to sahi tahqeeq karney waley is ki tahqeeq kar laitey aur agar tum par Khuda ka fazal aur is ki mehrbani na hoti to chand ashkhas k siwa sub shaitan k pairokar hotey. (Sura Nisa, Ayat No 83) 223. Aur jo shaks seedha rasta maaum honey k baad Paighamber ki mukhalifat karey aur mominon k rastey k siwa aur rastey par chaley to jidhar wo chalta hai hum isey idher hi chalney dain gey aur jahanum men dakhil karen gey aur wo buri jaga hai. (Sura Nisa, Ayat No 115) 224. Aey iman laaney walo Khuda par aur is k Rasul par aur jo kitab is ne apney paighamber par nazil ki hai aur jo kitaben is se pehley nazil ki theen sab par iman lao. Aur jo shaks Khuda aur is k farishton aur is ki kitabon aur is k paighambaron aur roz-e-qayamat se inkar karey wo rastey se bhatak kar door ja para. (Sura Nisa, Ayat No 136) 225. Logo Khuda ka Paighmabar tumharey paas tumharey Parwardigar ki taraf se huq baat le kar aya hai to iman lao tumharey huq men behtar hai aur agar kufr karo gey to jo kuch aasmanon aur zameen men hai sub Khuda hi ka hai aur Khuda sub kuch janney wala hikmat wala hai. (Sura Nisa, Ayat No 170) 226. Aey ahl-e-kitab tumharey paas hamara Paighamber agaya hai k jo kuch tum kitab men se chupatey they wo is men se buhat kuch tumhen khol khol kar bata deta hai aur tumharey buhat se qasoor maaf kar daita hai. Be shak tumharey paas Khuda ki taraf se noor aur roshan kitab aa chuki hai (Sura Maida, Ayat No 15) 227. Aey ahl-e-kitab Paighamberon k aaney ka silsila jo (aik arsey tk) munqata raha to (ab) tumharey paas hamara Pighamber agaya hai jo tum se (hamarey ahkam) bayan karta hai taakey tum ye na kaho k hamrey paas koi khuskhabri sunaney wala ya daraney wala nahi aya so (ab) tumharey paas khuskhabri sunaney wala aur daraney wala agaya hai aur Khuda har cheez par Qadir hai (Sura Maida, Ayat No 19) 228. Jo loge Khuda aur us k Rasul se larai karen aur mulk men fisad karney ko dortey phiren in ki yehi saza hai hai k qatal kardiye jaen ya sooli charha diye jaen ya in k aik aik taraf k hath aur aik aik taraf k paon kaat diye jaen ya mulk se nikal diye jaen. Ye to dunya men in ki ruswai hai aur aakhirat men in k liay bara azaab tayar hai (Sura Maida, Ayat No 33) 229. Tumharey dost to Khuda aur us k Paighamber aur momin loge hi hen jo namaz parhtey aur zakat daitey aur (Khuda k aagey) jhuktey hen (Sura Maida, Ayat No 55) 230. Aur jo shaks Khuda aur us k Pighamber aur mominon se dosti karey ga to Khuda ki jamat hi ghalba paaney wali hai (Sura Maida, Ayat 56) 231. Aur Khuda aur Rasul ki ataat kartey raho aur dartey raho agar mun phairo gey to jaan rakho k hamarey Paighamber k zimay to sirf Paigham ka khol kar punhcha dena hai (Sura Maida, Ayat No 92) 232. Aur isi tarah hum ne shaitan (seerat) insanon aur jinon ko har Paighamber ka dushman bana diya tha, wo dhoka dainey k liay aik doosrey k dil men gharoor ki baten daaltey rehtey they aur agar tumhara Parwardigar chahta to wo aisa na kartey to in ko aur jo kuch ye banatey hen usey chor do (Sura Inam, Ayat No 112) 233. Wo jo Rasul ki jo nabi ummi hen pairvi kartey hen jin (k ausaf) ko wo apney haan Torat aur Injeel men likha hua paatey hen. Wo inhen naik kaam ka hukm daitey hen aur burey kaam se roktey hen aur paak cheezon ko in k liay halal kartey hen aur na paak cheezon ko in par haram tehratey hen aur in par se bojh aur toq jo in par they utartey hen. To jo loge in par iman laey aur in ki izzat ki aur inhen madad di aur jo noor in k saath nazil hua hai is ki pairvi ki wohi murad paney waley hen (Sura Araaf, Ayat No 157) 234. (ye loge) tum se ghaneemat k maal k barey men daryaft kartey hen, keh do k ghaneemat Khuda aur us k Rasul ka maal hai, to khuda se daro aur aapas men sulah rakho aur agar iman rakhtey ho to Khuda aur us k Rasul k hukm par chalo (Sura Anfaal, Ayat No 1) 235. Aey iman walo Khuda aur us k Rasul k hukm par chalo aur jub tum (usey) suno us se roo gardani na karo 236. Jo loge (ghazwa-e-tabuk) men peechay reh gaey wo paighambar-e-Khuda (ki marzi) k khilaf bethay rehney se khush huay aur is baat ko na pasand kya k Khuda k rah men apney maal aur jaan se jihad Karen aur (auron se bhi) kehney lagey k garmi men mat nikalna (in se) keh do k dozakh ki aag is se kaheen ziada garm hai. Kaash ye (is baat) ko samajhtey (Sura Tauba, Ayat No 81) 237. Momino paighamber k bulaney ko aisa khayal na karna jaisa tum aapas men aik doosrey ko bulatey ho. Be shak Khuda ko ye loge maaloom hen jot um men se aankh bacha kar chal daitey hen. To jo loge un k hukm ki mukhalifat kartey hen in ko darna chahiye k (aisa na ho k) in par koi aafat par jaey ya takleef dainey wala azab nazil ho (Sura Noor, Ayat No 63) 238. Aur jis din burey kaam karney wala apney haath kaat khaega k aey kaash men ne Paighamber ka raasta ikhtiar kya hota (Sura Furqan, Ayat No 27) 239. Tum ko paighamber-e-Khuda ki pairvi (karni) behtar hai (yani) is shaks ko jiseyKhuda (se milney) aur roz-e-qayamat (k aaney) ki umeed ho aur wo Khuda ka zikr kasrat se karta ho (Sura Ahzaab, Ayat No 21) 240. Aur agar tum Khuda aur us k paighamber aur aaqibat k ghar (yani jannat) k talabgaar ho to tum men jo naik kaam karney waley hen un k liay Khuda ne ajr-e-azeem tayyar kar rakha hai (Sura Ahzaab, Ayat No 29) 241. Aey Paighamber ki bivio tum men se jo koi sareeh na shaaista harkat karegi is ko do gunah saza di jaegi. Aur ye baat Khuda ko aasaan hai (Sura Ahzaab, Ayat No 30) 242. Aur tum men se Khuda aur us k Rasul ki farman bardaar rahey gi aur amal-e-naik karey gi is ko hum do gunah sawab dain gey aur is k liay hum ney izzat ki rozi tayyar kar rakhi hai (Sura Ahzaab, Ayat No 31) |
Qura’ani baatein (Hidayat by Quraan) |